Ek Hasi�
By
Tanushree Mukherjee
Kya dekhe ho kahin?
Unn do bacchiyo ki hasi
Jo chiph gayi this unn nokjhoko ke peeche!
Ek gudiya badi suhaani has rahi thi unki masumiyat ke neeche!!
Kya dekhe ho kahin?
Uss doodhwale ki mucho vari hasi!
Dabbe se dudh na girne ki raahat
Do anjaan hatho ki madad hi thi uski barkat!!
Kya dekhe ho kahin?
Unn do nazuk hatheliyo ki hasi
Jo kanche khelne mein mahir hai
Dur khadi tajurbe ki hatheliya bhi aaj inke saamne phiki hai!!
Kya dekhe ho kahin?
Uss gehre aasman ki hasi
Jo aaj keemti ho gayi
Yeh panchiya apne paro se usse abaad kar gayi!!
Kya dekhe ho kahin?
Uss maasum pencil ki tasveero ki hasi
Jaha tedhe medhe lakeero ne ek kaahani sunaya ;
Dargah aur mandir ko ek jaisa banaya!!
Kya dekhe ho kahin?
Aisi jaani pehchani anjaan hasi
Jo sardi ki oos ki tarah
Bhigo jayein jism ke har ek pattiyo ko zara.
Comments
Post a Comment